Zindagi Ke Har Rang Ko Bayaan Karte Alfaaz

Zindagi ke har rang ko alfaazon mein mehsoos kijiye.
Waqt, Safar, Umeed aur Haqeeqat se judi Life Shayari ke saath.




Bachpan mein laga,
Kab jaldi bade ho jayenge,

Ab lagta hai,
Bachpan hi theek tha,

Badhti umr ke saath,
Uljhane bhi badhti gayin,

Kahan har naya daur,
Pichhle se behtar tha.


Kuch log mile,
Aur kahani ban gaye,

Kuch log bichhde,
Aur yaadein ban gaye,

Hum samajhte rahe,
Ki log zindagi ka hissa hain,

Par kai baar,
Wahi log jeene ki wajah ban gaye. woh.



Purani tasveerein,
Khat,
Aur kuch yaadein,

Aaj almari kholi to ehsaas hua,

Cheezein wahi rakhi hain,
Par log badal gaye.



Zindagi bhar bhaagte rahe sukoon ki khatir,

Kabhi laga ye hasil hoga,
To sab mil jayega,

Phir ek din thak kar baith gaye,

Aur ehsaas hua,

Jis sukoon ko dhoondhte rahe umr bhar,

Wo koi mazil nahi,

Wo to safar mein tha.



2-Line Shayari

Zindagi ko samjhne mein umr guzar gai,

Aur hume lagta raha abhi waqt baki hai.


Kuch raste manzil tak le gaye,

Kuch ne khud se mila diya.


Hum zindagi bhar waqt bachate rahe,

Aur waqt ne hi zindagi kharch di.


Sab kuch pane ki khwahish mein,
Khud ko hi gawa baithe.


Yaadein • Badlaav • Guzarta Waqt

Waqt kabhi rukta nahi, lekin uske chhode nishaan aksar saath reh jaate hain. Kuch tasveerein purani ho jaati hain, kuch log bichhad jaate hain, aur kuch lamhe saalon baad bhi waise hi yaad aate hain.

──── ♥ ────

Kabhi socha hi nahi tha,
Ki wo aakhri mulaqat hogi,

Hum to hamesha ki tarah,
Phir milne ki baat kar ke aaye the.


Kabhi jin baaton pe gussa aata tha,
Aaj unhi baaton pe hansi aati hai,

Kya waqt badal gaya,
Ya hume waqt ne badal diya.



Jin lamhon ko rozmarra samajh ke jeete rahe,

Aaj wahi yaadein khaas lagti hain,

Ajeeb hai waqt ki fitrat bhi,

Aaj ko aaj nahi rakhti,

Beeta pal ko yaad rakhti hai.


Socha tha kabhi fursat se baithenge,
Aur purani baatein dohrayenge,

Hum fursat dhoondhte reh gaye,
Aur waqt apna kaam kar gaya.


Roz aaina dekhte rahe,
Aur khud se jhoot bolte rahe,

Ek purani tasveer dekhi,
To waqt ka chehra nazar aaya.


Na koi kaha-suni,
Na koi shikayat baaki thi,

Bas waqt guzarta raha,
Aur baatein kam hoti gayi.




2-Line Shayari

Zindagi ke zakhm waqt ne bhar diye,
Par kuch nishan abhi bhi baki hai.



Kuch yaadein dhundhli zaroor hain,
Par unmein rang aaj bhi baaki hain.


Hum tasveerein sambhalte reh gaye,
Waqt ke saath kuch log bichhad gaye.


Jo kal tak roz milte the,
Aaj unse milne ka sabab dhoondhna padta hai.


Ghadi to har roz waqt dikhati hai,
Par guzra pal kahan laut ke aata hai.


Jin cheezon ko kabhi khaas samjha hi nahi,
Aaj unki kami sabse zyada mehsoos hoti hai.



Diary Ke Panno Se…..

Raaste • Musafir • Manzilein

Har safar ka maqsad sirf manzil tak pahunchna nahi hota. Kabhi raaste nazariya badal dete hain, kabhi humsafar yaad ban jaate hain, aur kabhi safar khatam ho jaata hai par uski kahani saath chalti rehti hai.

──── ♥ ────

Kai baar galat raaston par bhi chalna pada,
Par baad mein samajh aaya,

Manzil se zyada,
Kuch safar yaad reh jaate hain.



Har musafir manzil tak nahi pahunchte,
Kuch log raaston mein hi manzil dhoondh lete hain.


Jab safar ki shuruaat ki,
Tab raaston ka pata nahi tha,

Aaj palat ke dekhta hoon to,
Wo safar suhana lagta hai.


Safar ne kuch diya ho ya na diya ho,
Par wapas wahi insaan kabhi nahi aaya.


Kuch log safar mein mile,
Aur apne se lagne lage,

Phir ek mod aaya,
Aur wo kisi aur raaste ke ho gaye.


2-Line Shayari

Kuch mod der se samajh aaye,
Par safar unhi se yaadgaar bana.



Har safar ke mod mushkil nahi hote,
Kuch bas nazariya badal dete hain.


Jin raaston se kabhi guzarna kathin tha,
Aaj wahi safar ki pehchaan lagte hain.



Diary Ke Panno Se…..

Main kya tha, Na thi mujhe khabar…

Tujhse mil ke,Khud ko jana hai…..

Mausam • Manzar • Ehsaas

Kudrat ki khubsurati sirf dekhne mein nahi, balki mehsoos karne mein hai. Kabhi baadal musafir lagte hain, kabhi nadi bina ruke chalti rehti hai, aur kabhi pehli baarish puri duniya ko naya sa bana deti hai.

──── ♥ ────

Suraj wahi Chand wahi,
Din raat badalte rahte hai,

Duniya wahi kudarat wahi,
Mausam badalte rahte hai,

Jeena wahi marna wahi,
Log badalte rahte hai,

Rangmanch wahi kahani wahi,
Bus Kirdar badalte rahte hai.


Toofan utha hai sinne mein,
Us toofan se main takarunga,
Ek din dekha dunga uth ke,
Aasam ko dharti pe jhukaunga,

Aaj hoon goomnami ke andhere mein,
Ek din suraj se ankh milaunga,
Aaj kya hoon main na khud ko pata,
Ek din aisa kuch kar jaunga,
Log karenge meri baatein,
Main wo missal ban jaunga,

Toofan utha hai sinne mein,
Us toofan ko tayer jaunga.


Aasamn nahi,
To badal ban ke barso,
Agar badal nahi,
To vishal vrikch ban ke aasara do,
Vishal vrikch nahi,
To pedh ban kar phalo,
Agar pedh nahi,
To paodha ban kar phoolo,
Paodha nahi,
To ghas ban kar sukoon do,

Chahe suraj bano chand bano ya tara,

Apne kad se nahi,
Apni khubiyon se roshan kar do jug sara.



Baarish ki pehli boond giri,
Aur shehar ka mizaaj badal gaya,

Chai ki dukaan par bheed badhne lagi,
Khidkiyon ke sheeshe dhundhlane lage,

Kuch bachche joote haath mein liye bhaag pade,
Aur kuch log chhat ke neeche simat gaye,

Sadak par paani badhta raha,
Mano aasman dharti par utarta gaya.


Kai dino se baadal aate the,
Par hawayein unhe uda le jaati thi,

Aaj bhi laga kuch waisa hi hoga,
Aaj kahan baarish hogi,

Phir hawa kuch keh kar guzarne lagi,
Pedon ke patte bhi jhoom uthe,

Mitti ki saundhi khushboo aane lagi,
Aur dekhte hi dekhte saara manzar badal gaya,

Jab Aaj pehli baarish hui.


2-Line Shayari

Na jaane kitne shehron se guzarte hai,
Baadal bhi musafir hi lagte hai.


Raaste badalte dekhe hai maine,
Par nadi ko kabhi rukte nahi dekha.


Baarish ki pehli boond giri,
Aur shehar ka mizaaj badal gaya.



Diary Ke Panno Se…..

Main kya tha, Na thi mujhe khabar…

Tujhse mil ke,Khud ko jana hai…..