
Har Yaari Mein
Ek Kahani Hai
Kuch rishte khoon se nahi, dil se bante hain. Dosti unhi khaas rishton mein se ek hai jo waqt aur dooriyon ke saath aur mazboot hoti jaati hai. Best Friend se lekar Purane Yaar tak, yahan har dosti ki apni ek kahani hai.




Explore Friendship Shayari By Mood
──── ♥ ────
Hasi ke lamhon se lekar mushkil waqt tak, dost zindagi ke har safar ko yaadgaar bana dete hain. Yahan dosti ke unhi khoobsurat ehsaason ko shayari ke roop mein pesh kiya gaya hai.
Dosti • Bharosa • Yaari
Best Friend Shayari unhi khaas rishton ke liye hai jo har khushi aur har mushkil mein saath khade rehte hain. Kabhi hausla bankar, kabhi muskaan bankar, aur kabhi khamoshi samajh kar….
──── ♥ ────
Ek sachcha dost aisa mukaam bana jaata hai,
Khushi ho ya gham, hamesha saath nibha jaata hai,
Rishton ki bheed mein sab apne nahi hote,
Par ek sachcha dost dil mein ghar bana jaata hai.
Na khoon ka rishta, na koi naam zaroori hai,
Dosti mein bas dil ka paighaam zaroori hai,
Jo bina kahe har baat samajh le,
Aise dost ka hona sabse badi khushnaseebi hai.
Meri har aadat se waqif hai woh,
Mere har jazbaat se mutakif hai woh,
Main khud ko jitna jaanta hoon shayad,
Mujhse bhi zyada waqif hai woh.
Sabko alfaazon ki zaroorat padti hai,
Use meri khamoshi samajh aati hai,
Isi liye toh dosti hamari,
Sabse khaas nazar aati hai.
Beete hue kal ko lautana mumkin nahi,
Magar uski yaadon ko mitana bhi aasan nahi,
Waqt panne palat deta hai zindagi ke,
Par kuch safhe umr bhar adhure hi rehte hain.
2-Line Shayari
Dost kam ho toh parwaah nahi,
Bas yaari sachchi honi chahiye.
Har daulat se badhkar ek yaar hota hai,
Jo har mushkil waqt saath nibhane ko tayyar hota hai.
Yaari dil se ho toh umr bhar chalti hai,
Aisi yaari se toh duniya jalti hai.
Yaadein kisi kitaab ki tarah nahi hoti,
Jise padhkar band kar diya jaaye.
Har rishte ko naam ki zaroorat padti hai,
Dosti apni pehchaan khud bana leti hai.
Daulat, shohrat aur rutba sab peeche reh jaata hai,
Waqt aane par sirf dost hi kaam aata hai.
Roasting • Masti • Dosti
Har dosti mein ek aisa dost zaroor hota hai jo mushkil waqt mein kam aur mazaak udaane mein zyada kaam aata hai. Funny Friendship Shayari unhi doston ke naam hai jo zindagi ko thoda kam serious aur bahut zyada mazedaar bana dete hain.
──── ♥ ────
Dost mera bada hi kamaal hai,
Zindagi uski phatte haal hai,
Khud galtiyon ki misaal hai,
Par lecture dene mein bemisaal hai.
Uski yaadasht bhi kamaal hai,
Udhar ke paise bhool jaata hai,
Par paanch saal purani meri galti,
Aaj bhi yaad dilata hai.
Dost mera har mehfil ki jaan hai,
Par ghar ka raasta uske liye imtihaan hai,
Party mein sabko directions deta hai,
Aur baad mein khud location maangta hai.
Har baar kehta hai bas paanch minute mein aaya,
Humne bhi har baar uska bharosa nibhaya,
Par waqt ne hume ek baat sikhaya,
Ghanto baad bhi uska paanch minute nahi aaya.
Har trip ka planner wohi banta hai,
Budget se lekar route samjhaata hai,
Aur jab safar shuru ho jaaye,
Sabse pehle wahi bhatak jaata hai.
Har baat par mashwara deta hai,
Har masle ka hal bata deta hai,
Khud ki zindagi ka pooch lo agar,
Kehta hai, “Dekhte hain kya hota hai.”
Udhar lete waqt bada shareef ban jaata hai,
Paise milte hi gayab ho jaata hai,
Aur jab waapas maango usse,
Kehta hai, “Bhai, dosti mein hisaab kaun rakhta hai?“
Dost kamine hai zaroor,
Par dil ke bure nahi hai,
Thode pagal hai to kya,
Aise dost har kisi ko mile nahi hai.
2-Line Shayari
Har group mein ek samajhdaar dost hota hai,
Bas hamare group mein woh vacancy khaali hai.
Dost kam hai, museebat zyada hai,
Aur meri zyada museebat dost hi hai.
Diary Ke Panno Se…..
Bachpan • Shararatein • Yaari
Kuch dost sirf dost nahi hote, bachpan ki sabse khoobsurat yaadon ka hissa hote hain. Galiyon ki shararaton se lekar school ke hungamon tak, Chaddi Buddy wali yaari woh rishta hai jo waqt ke saath aur bhi keemti lagne lagta hai.
──── ♥ ────
Poori class mein shor machaya karte the,
Aur pakde jaane par ek dusre ko phansaya karte the,
Teacher ko lagta tha hum sudhar jaayenge,
Aur hum unhe roz sataya karte the.
Ek hi gali mein bachpan guzara tha,
Saath hi har sapna sanjoya tha,
Aaj raaste alag ho gaye hain to kya,
Yaaron ne kab saath chhoda tha.
Na paison ki fikr thi,
Na waqt ka hisaab tha,
Bas doston ke saath har din laajawaab tha,
Ab bachpan ke din yaad karke lagta hai,
Woh haqeeqat tha ya koi khwaab tha.
Ladai bhi hoti thi, manaana bhi aata tha,
Ek dusre ka tiffin churaana bhi aata tha,
Chaddi buddy wali yaari ki baat nirali thi,
Har din naya jashn manana aata tha.
Ek hi bench par saalon baithe the,
Ek hi teacher se daant bhi khaate the,
Aaj chahe shehar alag ho gaye hain,
Par yaadon mein ab bhi saath nazar aate hain.
Na petrol ki zaroorat thi,
Na destination ka pata tha,
Bas cycle aur dost saath hote the,
Aur poora shehar apna lagta tha.
2-Line Shayari
Bachpan ki yaadein purani zaroor hain,
Par unki ahmiyat aaj bhi nayi hai.
Jin raaston par roz saath chala karte the,
Aaj unhi raaston par yaadein mila karti hain.
Ek waqt tha jab poora din saath guzarta tha,
Aaj ek mulaqat bhi mushkil lagti hai.
Dosti ki asli daulat bachpan mein mili thi,
Tab jeb khaali aur dil bhara hua karta tha.
Jeb mein paise kam aur dost zyada the,
Tab pata nahi tha ki hum kitne ameer the.
Diary Ke Panno Se…..
Main kya tha, Na thi mujhe khabar…
Tujhse mil ke,Khud ko jana hai…..
Yaadein • Muskaan • Purane Kisse
Kuch dost zindagi se door zaroor ho jaate hain, lekin yaadon se kabhi door nahi hote. Purane Yaar Shayari unhi doston aur unke saath bitaaye hue lamhon ko samarpit hai jo saalon baad bhi chehre par muskaan le aate hain.
──── ♥ ────
Waqt ke saath sab badal gaya,
Har dost apne safar par nikal gaya,
Par jab bhi purani tasveerein dekhta hoon,
Lagta hai kal tha aur zamana badal gaya.
Na paison ki fikr thi,
Na waqt ka hisaab tha,
Bas doston ke saath har din laajawaab tha,
Ab yaad karke bachpan ke din lagta hai,
Kya haqeeqat tha ya khwaab tha.
Ek zamana tha jab uski gali se guzarte the,
Bina kaam ke bhi roz nikalte the,
Aaj purane dost yaad dilate hain,
Kitne bewaqoof hua karte the.
Aaj bhi jab purane yaar mil jaate hain,
Meri purani crush ke kisse dauhraate hain,
Jise main raaz samajh kar chhupata tha,
Woh har baar charcha mein aa jaate hain.
Purane yaaron ki yaadasht kamaal hoti hai,
Meri har bewakoofi yaad hoti hai,
Aur jis baat ko main bhool chuka hota hoon,
Uski poori dastan yaad hoti hai.
2-Line Shayari
Jise raaz samajh kar chhupaya tha kabhi,
Purane yaar aaj bhi uska zikr kar dete hain.
Meri pehli crush se zyada wafadaar toh yaar nikle,
Aaj tak uska naam bhoolne nahi dete.
Rukhsat toh tum ho gaye the kab ke,
Magar dil ne ye khabar der se mani.
Diary Ke Panno Se…..
Main kya tha, Na thi mujhe khabar…
Tujhse mil ke,Khud ko jana hai…..




