Mausam

Kuch ehsaas alfaazon mein nahi, mausamon mein mehsoos hote hain.

Kabhi baarish ki boondon mein, kabhi thandi hawaon mein, aur kabhi kudrat ke un rangon mein jo bina kuch kahe dil ko chhoo jaate hain.

Mausam sirf badalte nahi, apne saath yaadein, sukoon aur kai ankahe ehsaas bhi le aate hain.



Makhmali ghaas mein timtimati,
Shabnam ki boondon si zindagi,

Ek pal to thaharti hai,
Phir phisal jati hai zindagi,

Apnon se mil jaye to,
Badh jati hai zindagi,

Tanha pad jaye to,
Bhaap ban ke ud jati hai zindagi,

Na jaane kahan se aati hai,
Kahan chali jati hai zindagi.




Ae Kudrat,
Tu bhi badi ajeeb hai,

Tu jo khush ho jaaye toh,
Phool khilte hain gulistaan mein,

Tu jo bigad jaaye toh,
Log milte hain kabristaan mein.






Jinhe jannat ki chahat hai,

Unhe aisi chahat mubarak,

Humein uski haqeeqat maloom hai,

Use haasil karne ko fana hona padta hai.





Main badh raha toofan sa,

Tu thahari hai zheel ki paani si,


Anjaam-e-mohobbat kya hoga,

Jab aagaz howa dewaane si.





Hara rang tum par jach raha hai,

Maano kudrat ka karishma
baras raha hai,

Jaise bheege saawan mein,
naachta mayur hai,

Waise hi mera mann bhi,
tumse milne ko taras raha hai.



Is mausam bas itni si hai uljhan,

Ki mausam ki tarah badal to na jaoge,

Wada jo kiya tha saath nibhane ka,
Saath chhod ke to na jaoge,

Ye dil to tumse ja mila hai,
Tum kisi aur se dil to na lagaoge,

Bas itna bata do,
Badalte mausam ki tarah,

Badal to na jaoge.





Jheel si aankhen teri,

Dar hai kahin doob na jaun main,

Gar aata tairna jo mujhe,

To teri khatir aag ka,
dariya bhi paar kar jaun main.




Baarish ki pehli boond giri,
Aur shehar ka mizaaj badal gaya,

Chai ki dukaan par bheed badhne lagi,
Khidkiyon ke sheeshe dhundhlane lage,

Kuch bachche joote haath mein liye bhaag pade,
Aur kuch log chhat ke neeche simat gaye,

Sadak par paani badhta raha,
Mano aasman dharti par utarta gaya.




Kai dino se baadal aate the,
Par hawayein unhe uda le jaati thi,

Aaj bhi laga kuch waisa hi hoga,
Aaj kahan baarish hogi,

Phir hawa kuch keh kar guzarne lagi,
Pedon ke patte bhi jhoom uthe,

Mitti ki saundhi khushboo aane lagi,
Aur dekhte hi dekhte saara manzar badal gaya,

Jab Aaj pehli baarish hui.

Kabhi ek baarish purani yaad dila deti hai, kabhi ek hawa ka jhonka dil ko sukoon de jaata hai.

Shayad isi liye har mausam apni ek alag kahani lekar aata hai, jo har insaan apne andaaz mein mehsoos karta hai.

Similar Posts